Saturday, 11 February 2012

Aik Trip ki rudaad


University life or parhai? Ye to “itt kuttay da vair ae” wali baat hui. Haan albatta kuch kitabi keeray hotay hain jo apni routine barqaraar rakhtay or musalsal “top” kar kay dosron ko “Beqaraar” kartay hain. Baharhaal choonkay ye log tadad main baqion ki nisbat thoray hotay hain, so, main un ka saath nahen deta. Aiye kuch fun ki baat kartay hain or main aap ko apni university life k 1 trip ki rudaad sunata hoon.
Un dinon naa parhne walay “Bachon” ka bhi par parh kay bura haal ho chukka tha q k papers nazdeek aa rahey thay or hum choonkay annual system main thay to hamen saal k aakhir pay khaasa parhna parta tha taa k “ supply” ki aziat say bach sakain. Lagataar parhai tabiyat k lye muzar saabit ho sakti hai to hum nay C.R say raabta kia or us say trip arrange karnay ki guzaarish ki. C.R bhi choonkay class ka “sadar” hota hai, to us say baat manwanay k liye aagay peechay to phirna hi parta hai. Aakhir kaar hamari chaaploosi rang laai or C.R sahib nay haami bhari or tag-o-dou main lag gaey.  Department say ijaazat laina or phir transport office say raabta karna kuch time to laita hai laikin koshish say C.R nay ye marhala bhi paar kia or aakhir kaar din tay paa gya, shaadi ka nahin, trip ka or hum “head panjnad” jaanay ki tyaari karnay lgay.
Muqarrara tareekh k lye sab hi bay chain thay. ALLAH ALLAH kar k wo din bhi aa gya. Excitement main subah jaldi utha or jaldi jaldi tyaar hua naasta kia or ghar say mikalnay lga to pta chala k bus mairay ghar k paas say ho kar hi jaaey gi to mjhe wahan say hi pick kar lain gay. Main baith gya or intezaar karnay lga. 2 ghantay guzar gaey or abhi tak bus nahin pohunchi thi. Menay dost ko msg kar k poocha to jawab aaya k jis bus pay hum nay jaan thaw o khrab ho gai or us ki jaga doosri bus aa rahi hai. Bus aakgir kaar aa hi gai or main us main sawar hua. Doston nay bhayan aawazain nikaal kar maira khair maqdam kia. Mainay apnay sath janay waalay teachers ko or class fellows ko salam kia or aik na khatam honay walay shughal ka aaghaz ho gya. Bus main ham total 27 students thay or hamaray saath 1 male or 1 female teacher as a guardian thay. Raastay main kuch or students ko bhi lya or phir jugatain or ganay or shor shraaba shuru ho gya.
Raastay main 1 dost nay sir say bottle ka poocha, sir nay foran haan kar di. Hum sab ki “salah” say dost nay sir say ye baat poochi thi or hum sir k jawab pay “meesnon” ki tarha hansnay lagay or sir ko bottle peeta daikhnay lgay or as a shughal hum nay iss ko bohat enjoy kia. Sir nay bottle khatam ki to usi dost nay 1 or ki offer kar di. Sir nay halka sa inkaar kia or phir kaha” haan haan day do”. Sir nay ye jawab dia or hamaari hanis thi k rukti he naa thee. Sab larkay 1 dosray ko isharay krtay, or phir zor zor say hansna shuru kar daitay. Wo sir hamen uss time parhatay thay so hum un k saamnay nahin hans saktay thay warna hamaari university k teachers, uff toba. Ittni to koi doctor cancer k mareez ko dawaian naheen daita jitni ye “supplian” day daitay hain.
Kuch dair main female teacher or larkion nay gaanay gaanay shuru kar diye.Hum main bhi jawwani nay josh maara or hum nay unhain “intaakshari” muqablay ki daawat di jisay unhon nay bakhushi qbool kar lia. Kch gaanay muqaabla baazi main gaaey gaey or phir hum sab nay mill kar apni apni taanain laga kar mahool ko khushgawar banaya. 12 bje k qareeb hum head panjnad pohunch cheeky thay.
Utarnay say pehlay hi humain hamaray teachers ki taraf se instructions milin k aap nay paani ki taraf nahin jaana, 1 dosre ko pani ki taraf dhakkay nahen daine waghera waghera, to hum zara shareefana andaz main head panjnad ka jaaiza lainay lagay.
Thora bohat ghoomnay phirnay k baad faisla kia gya k pehlay khaana kha liya jaaey, phir jahan dil chahay ghoomain phirain. Panjnad choonkay 1 picnic spot hai, to wahan kuch plots hain jahaan log baith kar kha pee laitay hain. Humara khanay peenay ka intezam zara”maatha” tha. Hum paani ki bottles lay k nahen gaey thay or naa hi humaray paas bichanay k liye chaadrain theen, jin par baith kar hum khaana kha saktay. Hum sab pareshan k ab teachers kia kahen gay k inhon nay intezan hi naen kia. Thori dair baad bus driver nay btaya k bus main 2 adad chaadrain pari hain to hamaari jaan main jaan ai. Wo chaadrain laai gain to wo kaafi had tak gandi or maili theen. Baharhaal zaroorat k waqt to gadhay ko bhe baap banaya ja skta hay to hum nay chaadrain bichain or un par barajamaan ho gaey. C.R nay “daig” sambhaali or catering ka kaam bakhoobi sar anjaam dia.
Khaanay say farigh ho kar hum thora or ghoomay phiray, panjnad pay qaim 1 museum dekha or photo session hua. Faisla kiya gya k ab wapsi k lye nikaltay hain or raastey main jatoi k muqaam par qaaim masjid “Sakina tus sughra” ki bhi zyarat kartay chalain gay. Is masjid ki khoobsurti k baray main bohat suna tha, phir apni aankhon say daikh bhi liya.
Masjid sakina-tu-sughra zila muzaffargarh ki tehsil jatoi k gaon, kotla reham ali shah main waqay hai. Dr. Ismail Bukhari nay is masjid ki bunyaad rakhi or Turkey k mahireen nay is masjid ko tamer kia.
Masjid main hum sab nay “ASAR” ki namaz adaa ki or phir sab nay masjid or uss say munsalik hostels k fun e tamer k shahkaar ka nazara kia or phir hum wapsi k lye rawaana huay. Multan pohunch kar sab log ice cream say lutf andoz huay or sab apnay apnay gharon ko rawaana ho gaey.

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback