Saturday, 18 February 2012

Short sad poetry


Ab us k shehar mai thehrain k kooch kar jaen ??
Chalo Faraz Sitarae SAFAR k dekhte hain

Kitni dilkash h tri khamoshi...
sari batain fazool hon jesy..!:)

Men us ko kho k adhoora wo mujh ko paa k udaas,
hamarey qurb ka koi mavazna to karey..........

Short sad poetry

tasawar e arzo yaden shok o bey tabiaan. . . . . . .
Ye sab cheezen tumhari hen tum a key cheen lo muj sey . . . .

 Teri Masoom Nigahon Ka Taswar Lay Kar...
So Bhi Jaon Tu Teri Yaad Jaga Daiti Hai....

ISHQ nazuk mizaaj hai bay-hadd,
AQAL ka boj utha nahi sakta.

Short sad poetry


Kis qadar ehtamam kartey ho.
Dil jalaana sawab ho jaise......

Qeemtain gir gain mohabbat ki..
Aao ab aur kaarobar karen.......

Tabeebo'n se main kia puchon ilaaj_e_ drd_e_dil Mohsin....!
Marz Jab Zindgi Khud Ho, Duaa Kesi...?Dawa Kesi...??


Short sad poetry


Bazm-e-yaran sey Dil ab uth sa gaya hai,,, ~sahil~
chal phir sey tanhaiyun ki nagari abaad karty hain...!!!

Mout Bey-zaar, Dost Khafa, Falak Bhi Zulam K Dar-pey
Aaj Achay Nahi Aasaar Khuda Khair Karay.....

dOstOon sy ab waFa ki ummedyn...
mOhsin, kis zAmAnEy ky aaDmii hO tum ?

Short sad poetry


koi jannat ka talib hai, koi ghum se preshan hai....!!!
Gharaz sajda karwati hai,IBADAT kon karta hai......!!!

Her Sitam'gar Ko Yeh Humdard Samajh Layti Hai,
Kitni Khush Feham Hai Kam'bakht Jawaani Apni

Shab-e-firaak to kat,ti nzr nhe aati
khayal-e-yaar main aa0 Faraz s0 jayain. . .

Short sad poetry

BO kar Zameen-e-Dil main Uski arzO k Beej...
Betha hOn man Ghreeb zameendar ki trh....


Marhalla beech ka nahe hota,,,
Ishq hota hy ya nahe hota.....


Halaat-e-Ishq Se Gir Pare Zameen Pe Aa Kar
Hum Rashk-e-Asmaan Thay Abhi Kal Ki Baat hai


Short sad poetry


Safar akely hi kaat logy, ye mene poocha to ro pari wo,
Sawal kitna ajeeb sa tha, jawab kitna ajeeb aaya

Koi sheesha agar tootay bari aawaz hoti hai,
Magar dil toot janay ki sada koi nahin sunta.

Usay bhi neend na aaey tamam raat
Wo bhi kisi ki yaad men tarpey khuda karey

Short sad poetry



Nahi wo shaks muqaddar main phir bhi us say miltay hain,
bara pur-lutf lgta hai muqaddar ko saza daina.

Taskeen-e-muhabbat k faqat do hi tareekay thay,
ya dil na bana hota, ya tum na banay hotay

Bohat ajeeb hain ye bandishen mohabat ki
na us na qaid ma rakha na hum farar howay


Short sad poetry


itni nafrat na kar k waja-e-muhabat ban jaye
habas barh jaye to aksar barsat howa karti hy

kyun udaas soye ho is tarah andhere mein
Dukh to kam nahi hote roshni bujane se


Kisi ki zulf pareshan, kisi ka daaman chaak

Mohabbat ko log tamasha bana'ey phirtey hen

Urdu shayari


Short sad poetry


Muhabbat Per kisi bhi Rasm ka Pehra nahin chalta,,,,
Kisi Aamr ,Kisi Sultan ka Sikka nahin Chalta....

muddat hui hai yaar ki aai nahi khabar,
lagta hai QASID bhi rakeebon say ja mila.

muhabat haar k jina bohat dushwar hota hai
osay bas itna keh daina bharam tora nai karty

Short sad poetry


bana deti hai bandy ko ana moosa ana firaon
Ana ko qaid b na kr ana ko chhoot b na dy....


Mohabbat main jhuk jana koi ajeeb baat nahin hai

Chamakta suraj bhe dhal jaata hai chand ki khatir


shikasta dil hen magar milte hen har aik se hans ke
yehi to fun he jo aya he bohat kch kho dene k baad

Urdu short poetry


khushi mili to kai gham bhi mjh say rooth gay,
dua karo k main phir say udaas ho jaon.

likhna to tha k khush hun tere baghair bhi MOHSIN,
aansu magar qalam say phlay hi gir gia

Muj k0 teri yad0n ki aasaib ny ghyra hy habib
shaam h0ty he bemaar sa par jata hun. . . .

Us ny aisi chaal chali k us ki jeet yaqeeni thi . . . .
Par apni apni qismat hy, k haara main pachtaya wo .

Urdu shayari

 Teri justaju tera intizar aur akela Main..........
Thak k muskura diya jab ro nahi paya,................

Yeh na pOch k shikayten kitni han Tum sy...
Tu Bata kay tera kOi Or sitam baki tu nahi...

Ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . .

Urdu shayari

zid pay aa jae kisi bat pay bacha jese,
dil tere bad kuch is tarha sambhala hum nay.

usay yeh weham key main jaan day na paoon ga mohsin
hamain yeh khauf key roye ga azma key mujh

Neend 0r tum kahan h0ty h0?
D0n0 raat bhar nhe aaty . . . .

Urdu shayari


Phool khil jaen to us shakhs se kam kam milna,

aksar is mausam men mohabbat pe zawaal aata hai..

Dil bhi aabad he ik shehr e khaamoshan ki tarah,
har taraf log hain  magar aalam e tanhai hai.....


Raat k pichle pehr men teri yaaden utreen..

Aise jaagey k tere hijr ne soney na diya..

Urdu shayari

 Tarapte dekh kar mjh ko hanse or khoob farmaya,
giraftaar e mohabbat he, isey yoon hi tarapne do.

Hua he wo agar munsif to MOHSIN ehtayatan ham,
saza tasleem karte hen kisi ilzam se pehle...

Thitharti hui shab e siyah, woh bhi taveel tar,
hijr k maaron pe qayamat he december....

Urdu shayari




Urdu shayari




Urdu shayari





Urdu shayari





Urdu shayari






Urdu shayari





Urdu shayari





Urdu shayari





Urdu shayari





Urdu shayari





Urdu poetry








Urdu poetry






vo to Khushbuu hai havaaon.........



vo to Khushbuu hai havaaon men bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa

ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaaN men utar jaayegaa

vo havaaon kii tarah Khaanaa_bajaaN phirataa hai
ek jhonkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa

vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aaNgan men Thahar jaayegaa

aaKhirash vo bhii kahiin ret pe baiThii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa

Friday, 17 February 2012

mai umr ke rastay mein..........


mai umr ke rastay mein chup chaap bikhar jata
ek din bhi agar apni tanhai se darr jata

mai tarq e tauluq pe zinda hon so mujrim hon
kash usske liye jeeta apne liye marr jata

kall saamne manzil thi peeche meri aawazien
chalta tou bichar jata rukta tou safar jata

mai shehr ki rounaq mein gum ho ke bohot khush tha
ek shaam bacha leta ek roz tou ghar jata

uss jaan e takkallum ko tum mujhse tou milwatay
taskheer na kar pata hairaan tou kar jata


apney humrah jo aatey ho........


apney humrah jo aatey ho...idher sey pehley
dasht parta hay miyaan ishq main, ghar sey pehley

chal deye uth k soe shehr-e wafa, koe habib
poch lena tha kisi khaak basar sey pehley

ishq pehley bhi kiya, hij'r ka ghum bhi dekha
itne tarpe hain na ghabray, na tarsey pehley

jee behelta hi nahi abb koi sa'at, koi pal
raat dhalti hi nahi chaar peh'r sey pehley

hum kisi dar pe na thitkey, na kahee.n dastak di
sainkroo.n dar they meri jaa.n terey dar sey pehley

chaand sey aankh mili, jee ka ujala jaaga
hum ko so baar hoi subha sahar sey pehley

Bastiyaan qareye ghoom.......


Bastiyaan qareye ghoom chuke abb dasht ko lotain ban ko chalain
shaam hoi aawara ghazaloo.n! aao k apney watan ko chalain

"tum aur hum sey piyaar karo gai? jhoot hay lo bhi banjaaroo.n
baicho gai beyo-paar karo gai, tum sey door bhale piyaaro"

betha hay wo jo aag jalaay, khoh k munh per charwaha
wo bhi hay teer kamaan sajaay, is sey bhi hum ko bachna howa

pachcham main jo pair bhaley hain, in sey bhi logoo.n door hi door
in main wo apni jaan k bairi chetey baghh chupey hain zoror

har koi dekh k jaal bichaay, har koi uth k waar karey
bastiyaa.n qareye ghoom chukey hum, koi na hum sey piyaar karey

laay thay hum ise kis ko dikhaane, ley chalain dukhtey man ko chalain
shaam hoi awara ghazalo, aao k apney watan ko chalain

Ho na duniya mein koye hum sa...............


Ho na duniya mein koye hum sa bhi payasa logo
jee mein aati hai kay pee jayain yeh daryaa logo

kitni iss shehar kay sakhiyoon ke suni theen battain
hum jo aye tu kissi nay bhi na poocha logoo

itafaqun'n he sahi, par koiye dar tu khultta
jhilmilaata puss e chilman koyee saaya logo

sab kay sab mast rahay apnay nehaan khanoon mein
koi kuch baat musaafir ke bhi suntta logo

hoon gai iss shehar mein kuch uss ay bhi parhnay wallay
youn tu yeah shakhas bhi mashoor tha khaasa logo

kissi daman, kissi anchal ke hawa tu miltee ?
jab sar e raah yeh wa'manda gira tha logo

aik tasveer the, kaya janiyeah kiss ke tarsveer
naqash e mahoom say aur rung urra sa logo

aik awaaz thi, kaya janiyeah kss kee awaaz
uss nay awaz ka rishta bhi na rakha logoo

kuch pata iss ka hmain ho tu tumhain bat'layain
koun ghar ? koun nagar ? koun mohalla logo

chand harfoon ka mo'amma tha woh uljha suljha
uss nay tu naam bhi poora na bataya logo


haye yeh dard keh mushkal say thama tha dil mein
chaand poonum ka abhi say nikal aya logo

phir wohi dasht, wohi dasht ke tunhai hai
wehshat e dil nay kaheen ka bhi na rakha logo

uss mein himat hai, tu dar aye, utha day yeh hisaar
apnay gunbad mein tu dar hai na dareecha logo


Ho na duniya mein koye hum sa bhi payasa logo
jee mein aati hai kay pee jayain yeh daryaa logo

kitni iss shehar kay sakhiyoon ke suni theen battain
hum jo aye tu kissi nay bhi na poocha logoo

itafaqun'n he sahi, par koiye dar tu khultta
jhilmilaata puss e chilman koyee saaya logo

sab kay sab mast rahay apnay nehaan khanoon mein
koi kuch baat musaafir ke bhi suntta logo

hoon gai iss shehar mein kuch uss ay bhi parhnay wallay
youn tu yeah shakhas bhi mashoor tha khaasa logo

kissi daman, kissi anchal ke hawa tu miltee ?
jab sar e raah yeh wa'manda gira tha logo

aik tasveer the, kaya janiyeah kiss ke tarsveer
naqash e mahoom say aur rung urra sa logo

aik awaaz thi, kaya janiyeah kss kee awaaz
uss nay awaz ka rishta bhi na rakha logoo

kuch pata iss ka hmain ho tu tumhain bat'layain
koun ghar ? koun nagar ? koun mohalla logo

chand harfoon ka mo'amma tha woh uljha suljha
uss nay tu naam bhi poora na bataya logo

haye yeh dard keh mushkal say thama tha dil mein
chaand poonum ka abhi say nikal aya logo

phir wohi dasht, wohi dasht ke tunhai hai
wehshat e dil nay kaheen ka bhi na rakha logo

uss mein himat hai, tu dar aye, utha day yeh hisaar
apnay gunbad mein tu dar hai na dareecha logo

jee ke jee hee mein raheen hasratain tofaanoon ke
yeah safeena tu kinaray pay hee dooba logo

aaj ke daak say kaya koye lafafa aya ?
kaisi sargooshi kartay hoo, aray kaya logo ?

koye payghaam e zubani bhi nahi, kuch bhi nahi
hum nay apnay ko bohat dair sambhala logo

band anhain hoi jaati hain, pisaarain paoon
neend see neend ? humain ab na uthana logo

aik he shab hai, taveel, itni taveel, itni taveel
apnay ayaam mein amrooz na farda logo

aab koye aye tu kehna kay, musafir tu gaya
yeah bhi kehna keh, bhala ab bhi na jata logo

rah tuktay howay pathra see gai theen ankhain
aah bhartay howay chalni howa seena logo

hont jaltay thai jo layta tha kabhi aap ka naam
iss tarhaan aur kissi ko na saatana logo

Dil Dard ki Shiddat se ........


Dil Dard ki Shiddat se Khoo'n Gashta-o-Si Paara
iss shehar mein phirta hai aik Wheshi-o-Aawaara
shair hai keh ashiq hai, joogi hai keh banjara
darwaza khula rakhna

seenay say ghata uthay, ankhoon say jhari barsay
phagan ka nahi badal, joo chaar ghari barsay
barkha hai yeh bhadoon ke, barsay tu bari barsay
darwaza khula rakhna

ankhoon mein tu ik alam, ankhon mein tu duniya hai
hontoon pay magar mohrain, moun say nahi kehta hai
kis cheez ko khoo baitha, kaya dhoondnay nikha hai
darwaza khulla rakhna

haah tham mohabt ke gar thaam sakay doori
sajan hai, taira sajan, aab tujh say kaya choori
yeah jis ke manadi hai, basti mein tairi goori
darwaza khula rakhna

shakoon ko utha rakhna, ankhoon ko bacha rakhna
ik shama dareechay ke chokhat pay jala rakhna
mayoos na phir jaye, haan paas e wafa rakhna
darwaza khula rakhna


sab maya hai , sab dhaltee...........



sab maya hai , sab dhaltee phirtee chaya hai
iss ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
jo tum nay kaha hai, faiz nay jo farmaya hai
sab maya hai

haan gahay gaahay deed ke doulat haath aye
ya aik woh lazat naam hai jiss ka ruswayee
buss uss kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai
sab maaya hai

ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan nahi
jab daikh liya iss sooday mein nuqsaan nahi
tab shama pay dainay jaan patanga aaya hai
sab maaya hai

maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi
sab aik say hain, yeah ranjha bhi, yeh insha bhi
farhad bhi jo ik nahar se khood kay laya hai
sab maya hai

kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoo
jis saat samandar par ke naar ke baat karoo
uss naar say koi aik nay dhoka khaya hai ?
sab maaya hai

jis goori pay hum aik ghazal har shaam likhain
tum jantay hoo - hum kiyonkar uss ka naam likhain
dil uss ke chookhat chom kay wapis aaya hai
sab maaya hai

woh larki bhi jo chaand nagar ke raani thee
woh jiss ke alhaar ankhoon mein hayraani thee
aa uss nay bhi pay'ghaam yeehi bhijwaya hai
saab maya hai

jo loug abhi tuk naam wafa ka laytay hain
woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain
haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai
sab maaya hai

jab daikh liya har shakhas yahaan harjayee hai
iss shehar say door - aik kutiya hum nay banaye hai
aur uss kutiyaa kay maathay pay likhwaya hai
sab maaya hai