sab maya hai , sab dhaltee phirtee chaya hai
iss ishq mein hum nay jo khooya jo
paya hai
jo tum nay kaha hai, faiz nay jo
farmaya hai
sab maya hai
haan gahay gaahay deed ke doulat
haath aye
ya aik woh lazat naam hai jiss ka
ruswayee
buss uss kay siwa tu jo bhi sawab
kamaya hai
sab maaya hai
ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan
nahi
jab daikh liya iss sooday mein
nuqsaan nahi
tab shama pay dainay jaan patanga aaya
hai
sab maaya hai
maloom hmain sab qais miyaan ka
qissa bhi
sab aik say hain, yeah ranjha bhi,
yeh insha bhi
farhad bhi jo ik nahar se khood kay
laya hai
sab maya hai
kiyon dard kay naamay likhtay
likhtay raat karoo
jis saat samandar par ke naar ke
baat karoo
uss naar say koi aik nay dhoka khaya
hai ?
sab maaya hai
jis goori pay hum aik ghazal har
shaam likhain
tum jantay hoo - hum kiyonkar uss ka
naam likhain
dil uss ke chookhat chom kay wapis
aaya hai
sab maaya hai
woh larki bhi jo chaand nagar ke
raani thee
woh jiss ke alhaar ankhoon mein
hayraani thee
aa uss nay bhi pay'ghaam yeehi
bhijwaya hai
saab maya hai
jo loug abhi tuk naam wafa ka laytay
hain
woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay
daitay hain
haan thook baja kay hum nay hukam
lagaya hai
sab maaya hai
jab daikh liya har shakhas yahaan
harjayee hai
iss shehar say door - aik kutiya hum
nay banaye hai
aur uss kutiyaa kay maathay pay
likhwaya hai
sab maaya hai
No comments:
Post a Comment
Thanks for your feedback