Friday, 17 February 2012

Tasawwurat ka haasil.......


 Tasawwurat ka haasil, wohi nishaana e dil
Usi ke zikr se dilchasp hai fasaana e dil

Mujhe yeh khauf k teri adam tawajjohi se
UjaR na jaye kahin abke aashiyana e dil

Chali gayi woh kisi jism ki sakoonat mein
Hazaar hum ne sajaya nigaar khana e dil

Yahan pe kitne haseeN walwale humakte the
Bhara pura tha kabhi mera aastaana e dil

Suna hai dard ke lamhaat lauT aayenge
Jabhi to surkh hua jaata hai dihaana e dil

Bahut aziz hai dast e tahi ka karb mujhe
Isi ke dam se mere pas hai khazana e dil

Zara Thahar K yahi saa’ateiN qyaam ki haiN
Phir is ke baad badal jaayega zamaana e dil

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback