Friday, 17 February 2012

Sar mera kaam yeh ka......


Sar mera kaam yeh kar aaya tha
Kooy E qatil se guzar aaya tha


Apni hi khoj me sargardaaN hun
Main kahaaN jaake bikhar aaya tha

Kya pata uski haiN kitni shakleN
Raat to aankh mein bhar aaya tha

Dasht E ghurbat mein khyaal aata hai
Ghar bhi dauraan E safar aaya tha

Sangbarii se woh bachte bachte
Gahre paani mein utar aaya tha

Shairi aaj  sar e raah mili !!!
Rang roop uska nikhar aaya tha.

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback