ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoR ke jaane ke liye aa
pahle se maraasim na sahii phir bhii kabhii tau
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa
kis kis ko bataayeNge judaa’ii kaa sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa
kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa
ek umr se huuN lazzat-e-giriyaa se bhii mahruum
ai raahat-e-jaaN mujh ko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-Khush-feh’m ko tujh se haiN ummiideN
ye aaKhrii shammeN bhii bujhaane ke liye aa
maanaa kii muhabbat kaa chhupaanaa hai muhabbat
chupke se kisii roz jataane ke liye aa
jaise tujhe aate haiN na aane ke bahaane
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa
No comments:
Post a Comment
Thanks for your feedback