Friday, 17 February 2012

Rahti thi aankh me jo nami khatm hogayi..........


Rahti thi aankh me jo nami khatm hogayi
Rasm-e-duaa-e- neem shabi khatm hogayi

Mere bhi jo usool the matrook hogaye
Teri kulaah ki bhi kaji khatm hogayi

Ab aur zindagi ka fasana sunayeN kiya
Tanha hui, udaas hui, khatm hogayi

Sehn-e-chaman me anjuman-ara hua hai kaun
Baad e sabaa ki tez ravi khatm hogayi

Pichhli rutoN ki chaanv ne us ko bulaa liya
Ek mukhtasar si hamsafari khatm hogayi

AajayeN mere shahr e sukhan me tamaam log
Muzdaa! ke unki dar badari khatm hogayi

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback