Friday, 17 February 2012

Raat ek mehfil meiN.......


Raat ek mehfil meiN guft_guu namu par thii
Har zubaan thii saakit, har nigaah pat_thar thii

Ek savaal kii lou se hoNT jhulse jaate the
Ek javaab kii ThanDak aah ke baraabar thii

Ek be-yaqeeN lehja khouf se larazta tha
Ik Chhupi huii hairat, hairatoN se baahar thii

Voh sukhan zubaN par tha jis ko dil meiN rehna tha
Voh shikan jabeeN par thii jo adaaye bistar thii

MaiN bahut hirasaaN tha zakhm ke na bharne se
Ek shab kii mohlat thii aur jang sar par thii

Shaakh-e-dil kii haryaali khaab ka bayaaN Thehri
MaiN ne jis ko nam rak_Kha voh zameeN hii banjar thii

Mujh meiN ek darya hai jo bipharta rehta hai
Pehle ek Sehra tha jis pe chup kii chaadar thii

MaiN ne us ko har lamha jism se pukaraa tha
Ab Khula keh voh khaahish ruuh ke baraabar thii

Ishq kii karaamat hai varnaa umr ke haathoN
Khaal-o-khad kii veeraani husn ka muqaddar thii

Kya huye voh lab jin se phool hii baraste the
Kya huii voh shaadabi jo hameiN muyassar thii

AZM be-sabab dekhha tum ne khaab-e-sairaabi
Dasht ke tasalsul meiN tashnagi hii behtar thii

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback