phir usii raahguzar par shaayad
ham kabhii mil sakeN, magar shaayad
(raahguzar : pathways)
jaan pehchaan se bhii kyaa hogaa
phir bhii ai dost Ghaur kar, shaayad
(Ghaur : attention)
muntazir jin ke ham rahe un ko
mil gaye aur ham-safar shaayad
(muntazir : waiting)
jo bhii bichhRe haiN kab mile haiN “Faraz”
phir bhii tuu intizaar kar shaayad
No comments:
Post a Comment
Thanks for your feedback