Thursday, 16 February 2012

na hareef-e jaan, na sh...............


na hareef-e jaan, na shareek-e ghum, shub-e intazaar koi tau ho
kise buzm-e shauk mei lain hum, dil-e be-qarar koi tau ho


kise zindagi hai aziz ab, kise aarzoo-e shub-e taurub
magar ai nigar-e wafa talub, tera aitebar koi tau ho


kahin taar daman-e gul milay tau yeh maan lain keh chamun khile
keh nishan fasul-e bahar ka sur-e shakhsaar koi tau ho


yeh udaas udaas se baam-o dar, yeh ujar ujar si rah guzr
chalo hum nahin na sahi magar sir-e ku'a yaar koi tau ho


yeh sakoon-e jaan ki ghari dhale tau chiragh-e dil hi na bujh chale
wo bala se ho ghum-e ishq ya ghum-e rozgaar koi tau ho


sir-e muqtil-e shub-e aarzoo hai kuch tau ishq ki aabroo
jo nahin aadoo tau Faraz tu keh naseeb-e daar koi tau ho

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback