Friday, 17 February 2012

Maslak -e- jabr woh apnaate......


Maslak -e- jabr woh apnaate hue
Hum baGhaavat pe tule jaate hue

Apni bebaak muhabbat ki wajah
Ek mulaqaat thi, ghabraate hue

Dekhte rahte hain hum hijr naseeb
Saa’at E wasl guzar jate hue

Husn-e-afsurda ki taazim me sab
phool paaye gaye murjhate hue

Kya mere baa’d bhi koi aaya
Dar E maqtal pe ghazal gaate hue

Sar E baazaar tamaashaayi sab
Jaan se aik bashar jaate hue

Humne us k liye kuchh she’r likhe
Dil e babas pe taras khate hue

Rooh ko hogaye battiis baras
Habs E be-ja ki sazaa paate hue

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback