maiN ke phir dasht-e-rafaaqat kaa safar kar aayaa
kyaa kahuuN kitnii aziiyat se guzar kar aayaa
har ko’ii ham se milaa umr-e-gurezaaN ki tarah
vo to jis dil se bhii guzraa vahiiN ghar kar aayaa
tum ne ek sang uthaayaa mere aaiine par
aur har shaKhs ko maiN aaiina-gar kar aayaa
mujhse kyaa puuchte ho shah’r-e-vafaa kaisaa hai
aise lagtaa hai saliiboN se utar kar aayaa
sirf chehre hii agar kurb ke aaiine haiN
kyuN na maiN dil kaa lahuu aaNkh meN bhar kar aayaa
ab jo is shah’r kii taqdiir ho, maiN to logoN
dar-o-diivaar pe hasrat ki nazar kar aayaa
ham to samjhe the muhabbat kaa payambar hai “Faraz”
aur vo be-meh’r bhii to haiN, hunar kar aayaa
No comments:
Post a Comment
Thanks for your feedback