Thursday, 16 February 2012

Kasheeda sar se tawaqqo’ ....

Kasheeda sar se tawaqqo’ abas jhukaao ki thi
BigaR gayaa huN  K surat yahi banaao ki thi


Woh jis ghamand se bichhRa gila to is ka hai
K saari baat muhabbat me rakh rakhaao ki thi


Woh mujh se pyar na karta to waar kya karta
K dushmani meN bhi shiddat usi lagaao ki thi


Magar yeh dard E talab bhi saraab hi niklaa
Wafaa ki lahr bhi jazbaat ke bahaao ki thi


Akele paar utar ke yeh nakhuda ne kaha
Musaafiro yahi Qismat shikastaa naao ki thi


ChiraGh E jaN ko kahaN tak bacha ke hum rakhte
Hawaa bhi tez thi, manzil bhi chal chalaao ki thi


MaiN zindagi se naburd aazma raha huN ‘Faraz’
MaiN jaantaa tha, yahi raah ek bachaao ki thi


No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback