Friday, 17 February 2012

KahiN goyaayi ke haathoN......


KahiN goyaayi ke haathoN samaa’at ro rahi hai
KahiN lab bastaa rah jaane ki hasrat ro rahi hai

Kisi deewaar par nakhun ne lik_kha hai rihaayi
Kisi ghar meN aseeri ki aziyyat ro rahi hai

KahiN member pe baiTha hai ek sajde ka nashsha
Kisi mehraab ke neeche ibaadat ro rahi hai

Yeh maathe par paseene ki jo larzish tumne dekhi
Yeh ek chehre pe laa-haasil mushaqqat ro rahi hai

Ajab mahfil hai sab ek dusre pe haNs rahe haiN
Ajab tanhaayi hai khilwat ki khilwat ro rahi hai

Yeh khamoshi nahi, sab iltejaayeN thak chuki haiN
Yeh aaNkheN tar nahi, rone ki himmat ro rahi hai

Jo ba’ad az hijr aaya, us ko kaise wasl kah duN?
Shikaayat se gale mil ke nidaamat ro rahi hai

Ise ghussa na samjho! ‘Azm’ yeh mere lahoo me
Musalsal zabt karne ki riwaayat ro rahi hai

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback