Jabeen E shauq pe gard E malaal chaahti hai
Meri hayaat, safar ka m’a'aal chaahti hai

MaiN
vus’atoN ka talabgaar apne ishq mein huN
Woh meri zaat mein ek yerGhamaal chaahti hai

HamaiN
pata hai K us mehrbaaN ki charaa-gari
Hamaare zakhmoN ka kab indmaal chaahti hai

Tumhare
baad meri aankh zid pe aagayi hai
Wohi jamaal, wohi khadd O khaal chaahti hai

Hum
us ke jabr ka Qissa tamaam chahte haiN
Aur uski teGh, hamaara zawaal chaahti hai

Tum
is ko apne tasarruf meiN laarahe ho, magar
Yeh shairy hai! Zara dekh bhaal chaahti hai

No comments:
Post a Comment
Thanks for your feedback