Friday, 17 February 2012

Jab dahr ke gham se amaaN na milii.......


Jab dahr ke gham se  amaaN na milii,  hum logoN ne ishQ eejaad kiya
Kabhi shahr E butaaN me kharaab phire kabhi dasht E junuN aabaad kiya

Kabhi bastiyaaN ban, kabhi koh O daman, raha kitne dinoN yahi ji ka chalan
JahaaN husn mila wahaaN baith rahe, jahaaN pyar mila wahaN saad kiya

Shab E maah me jab bhi yeh dard uTha, kabhi bait kahe (likhi ‘Chand Nagar’)
Kabhi koh se jaa sar phoR mare,  kabhi kabhi Qais ko jaa ustaad kiya

Yahi ishQ  bil-aakhir rog banaa, K hai chaah k saath bijog banaa
Jise ban_na tha aish woh sog banaa, baRa man ke nagar me fasaad kiya

Ab qurbat O sohbat E yaar kahaaN, lab O aariz O zulf O kinaar kahaN
Ab apna bhi  ‘Meer’  sa aalam hai,  Tuk dekh liya,  ji shaad kiya

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback