Thursday, 16 February 2012

hum bhi khud dushman.......


hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle
tum magar dost kahaN thay pehle


ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN
phool hi phool jahaaN thay pehle


ab jo deewar bunay baithay hain
soorat-e mooj rawaaN thay pehle


kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN
ronaq-e buzm-e maghaaN thay pehle


hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro
munzil hum sufraaN thay pehle


ab kise waza-e mohabbat ka khayal
aur hi loag yahaan thay pehle


ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa
tujh se hum shikwa kinaaN thay pehle


bun gya kafla chaltay chaltay 
wurna tunha hi rawaan thay pehle


dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz
itne muflis bhi kahaan thay pehle

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback