Hua karega har ek lafz mushkbaar apna
Abhi sakooN se kiye jaao! Intezaar apna
Abhi sakooN se kiye jaao! Intezaar apna
Utha
liya hai bhalay half jaaN – nisaari ka
Mujhe sanbhaal, ke hota huN bar bar apna
Mujhe sanbhaal, ke hota huN bar bar apna
Udaas
aankhoN ko hai intezar fasl E muraad
Kabhi to mausam e jaN hoga saazgaar apna
Kabhi to mausam e jaN hoga saazgaar apna
Tumhaare
dar se uThaye gaye, malaal nahi
WahaN to chhoR ke aaye hain hum ghubaar apna
WahaN to chhoR ke aaye hain hum ghubaar apna
Sabhi
chiraaGh kamar-bastaa haiN hawa k khilaf
Bechaari le ke kahaaN jaye inteshaar apna
Bechaari le ke kahaaN jaye inteshaar apna
Bahut
buland hui jaati hai anaa ki faseel
So hum bhi tang kiye jaate haiN hisaar apna
So hum bhi tang kiye jaate haiN hisaar apna
No comments:
Post a Comment
Thanks for your feedback