beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa
main bhii palkon pe sajaa longaa lahu kii bondain
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa
Khalq kii sangzanii merii Khata'on kaa silaa
tum to maasoom ho tum door zaraa ho jaanaa
tum to maasoom ho tum door zaraa ho jaanaa
ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa
No comments:
Post a Comment
Thanks for your feedback