Friday, 17 February 2012

Ajab junoon E musafat meN........

Ajab junoon E musafat meN ghar se nikla tha
Khabar nahiN hia K suraj kidhar se nikla tha

Ye kaun phir se unhiN raastoN meN chhoR gaya
Abhi abhi to azaab E safar se nikla tha

Yeh teer dil meN magar be sabab nahi utraa
Koi to harf lab E chaaraagar se nikla tha

Yeh ab jo aag bana shahr shahr phaila hai
Yahi dhuaaN mere deewar O dar se nikla tha

MaiN raat toot k royaa to chain se soyaa
K dil ka zahr mere chashm E tar se nikla tha

Ye ab jo sar haiN Khamidaa, kulaah ki khatir
Ye aib bhi to hum ahl E hunar se nikla tha

Wo Qais ab jise majnuN pukaarte haiN ‘Faraz’
Teri tarah koi deewaanaa ghar se nikla tha

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback