Ae iraado!!! Mujhe takmeel
ki taaseer dikhaao
Khab
maiN dekh chuka huN mujhe taa’beer dikhaao
Kaahisho!! AaNkh se bahti hui hasrat na bano
Waqt
badla hai to badli hui tasveer dikhaao
Raasto!! Mere liye manzileN aasaaN kardo
Tum
mere zer E Qadam rahne ki tauqeer dikhaao
Waahimo!! Hadd E yaqeeN pe mujhe hairaaN na karo
Arsaa
E shak se guzar jaane ki tadbeer dikhaao
Hauslo!! Jang ki haalat ko badal kar dekho
MaiN
sipar dekh chuka huN mujhe shamsheer dikhaao
Zaaviyo!! Husn E lab O chasm nahi hai kaafi
Qaid
karne ke liye duusri zanjeer dikhaao
Faaslo!! Qurb ke lamhoN me yeh doori kaisi
Yahi
hoga to mujhe safha E taqdeer dikhaao
Faislo!! Baar E virasat hai mere shaanoN par
Jis
ka haQdaar huN mujh ko wohi jaageer dikhaao
RaunaQo!! ‘Azm’ ki aaNkhoN me chamakne k liye
Is
bayaabaaN meN kisi shahr ki taameer dikhaao
No comments:
Post a Comment
Thanks for your feedback