Friday, 17 February 2012

Abke ye ehteyaat bhi kar jaanaa ........


Abke ye ehteyaat bhi kar jaanaa chaahiye !!!
Andhi se qabl khud hi bikhar jaanaa chaahiye

Haan jab mujhe jamood ki tohmat hi mil gayi
To dil se bhi khayaal e safar jaanaa chaahiye

Sab raaste hisaar ke jangal me qaid hain !!!!
Kiya faisla karen k kidhar jaanaa chaahiiye !

Rahzan to sab kamaayaa jua maal le gaye
Ab sirf jaan leke na ghar jaanaa chaahiye !

Karte hain be sabab hi khataayen ma’aaf jo
Aise “khata ma’aaf” se dar jaanaa chaahiye

Kuchh faisle to honge mere ikhtiyaar ke !!!!
Aankhon se ye ghelaaf utar jaanaa chahiye

Jab mere paas us ke liye chhat talak nahi !
Ae uski aarzoo, tujhe mar jaanaa chaahiye

No comments:

Post a Comment

Thanks for your feedback