ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahiiN imkaaN jaanaaN
yaad kyaa tujh ko dilaayeN teraa paimaaN jaanaaN
yuuN hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
kis qadar jald badal jaate haiN insaaN jaanaaN
zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai
ham ne jaise bhii basar kii teraa ehsaaN jaanaaN
dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii
dil kii kyaa baat kareN dil to hai naadaaN jaanaaN
avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar
bepiye bhii teraa cheharaa thaa gulistaaN jaanaaN
aaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahiiN
rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaaN jaanaaN
(rag : veins; miinaa : wine-holder; jaaN : life)
muddatoN se ye aalam na tavaqqo na ummiid
dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaaN jaanaaN
(muddat : awhile; tavaqqo : hope)
ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa
Gam-e-dauraaN se judaa hai Gam-e-jaanaaN jaanaaN
(Gam-e-dauraaN : sorrows of the world)
ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraaN jaanaaN
sar-ba-zaanuu hai ko’ii sar-ba-girebaaN jaanaaN
(sar-ba-zaanuu : forehead touching the knees; sar-ba-girebaaN : lost in worries)
har ko’ii apanii hii aavaaz se kaaNp uThataa hai
har ko’ii apane hii saaye se hiraasaaN jaanaaN
(hiraasaaN : scared of)
jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagataa hai
shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zindaaN jaanaaN
(zanjiir-ba-paa : feet encased in chains; zindaaN : prison)
ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal meN aaye
aur se aur hu’aa dard kaa unvaaN jaanaaN
(unvaaN : start of chapter/title)
ham ki ruuThii hu’ii rut ko bhii manaa lete the
ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraaN jaanaaN
(mausam-e-hijraaN : season of separation)
hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa
jaise u.Date huye auraaq-e-pareshaaN jaanaaN
(rezaa-rezaa : piece by piece; auraaq-e-pareshaaN : strewn pages of a book)
No comments:
Post a Comment
Thanks for your feedback